Eid Miladun Nabi 2023 :Date And History Or Kyu Manai Jati Hai

 musalmano ka ek bohot hi khaas din hai ye Eid miladun nabi  kyunki is din hamare nabi monhammad salllaho alyhe wasallam ki viladat hui isi khushi me musalmaan eid milad manate hai .
is post me ham apko eid miladun nabi ki puri jankari denge.

Eid Milad-un-nabi 2023


Table of content

1.Hazrat Muhammad sahab ki viladat kab hui
2.Hazrat Muhammad sahab ke walid or walida ka naam kya hai
3.Hazrat Muhammad sahab ke walid or walida ka intikaal kab hua
4.Eid Milad-un-nabi kya hai
5.Eid Milad-un-nabi kyu manate hai
7.Eid MIlad-un-nabi manana kaisa hai
8.Eid Milad-un-nabi me kaise manana chahiye



Hazrat Muhammad sallallaho alyhe wasallam ki viladat kab hui

hazrat mohammad ki paidaish 12 rabiul awwal 571 me hui jis din hazrat ki paidaish hai (youme viladat) vo din somwar ( monday) ka din tha aap suraj nikalne se pahle bahut subah savere paida hue 

aap makka ke sabse unche or izzaddar kabile (quraish) me paida hue 

jis din aap paida huy us din aasman me ajeeb si roshni chaa gyi thi. makka ke log apko bohot achchi tarah se jante the sare makka wale apko siddique(sach bolne wala ) khte the aap mazaak me bhi jhoot nhi bolte the.

Hazrat Mohammad ke walid or walida ka naam

Hazrat Mohammad ke walid ka naam Abdullah tha or walida ka naam Amina.

Hazrat Mohammad ke walid or walida ka intqaal kab hua 

apke walid sahab ka intkaal aap hazrat Mohammad ki paidaish se pahle hi ho chuka tha,or apki walida ka intkaal jb aap 6 saal ki umr ke the tb ho gya tha.

bachpan me hi aap maa or baap ke saay se mahroom rh gye .

maa baap ki wafaat ke baad aap dada ki nigrani me rahe jb aap 8 saal 2 maah 10 din ke huy tb apke dada abdul muttalib bhi is duniya se chale gye 

dada ke jaane ke baad aap chacha abu talib ke paas rahne lage.

Eid miladun nabi kya hai

jis din hamare nabi hazrat Mohammad sallalaho alyhe wasallam ki viladat (paidaish) hui usi din ko eid miladun nabi kaha jata hai.

Eid miladun nabi kyu manate hai

Musalman eid miladun nabi isliye manate hai kyunki is din islam ke akhri paigamber (messenger) HAZRAT MOHAMMAD SALLALAHO ALYHY WASALLAM is duniyae fani me tashreef (paida) laay unhi ki paidaish ki yaad me musalman har saal 12 rabiul awwal ko khushiyan manate hai jise eid miladun nabi kaha jata hai.

Eid miladun nabi ( prophit Mohammad birth anniversary) kab hai

12 rabiul awwal is saal 28 september 2023 ko hai isi din tamam musalman apne nabi ki youme viladat (paidaish) ki khushiyan manaynge.

Eid miladun nabi manana kaisa hai

Eid miladun nabi manana jaiz hai jese har bete ko apne baap ki paidaish par khushi hoti hai ki uska baap is din paida hua or agar vo is khshi ko izhaar bhi na kare to bhi uske dil me ek khushi hoti hai ki is din uska paida hua 

isi tarah ek baap apne bete ya beti ki viladat ke din khush ho or khushi ka izhar kare logo ko mithaiyan khilay ya apne ghar me bula kar khana khilay to isme vo koi esa kaam nhi kar rha hai jo shariyat ke khilaf ho 

han agar vo koi esa kaam nhi kar rha hai jo shariyat ke khialf hai jese gaane bajana, dance karna, fizool kharchi karna wagera to ye jaiz hai 

ab ham dekhe ki hm agar apne bete ya beti ki viladat ki khushi me koi esa kaam nhi kar rhe jo shariyat ke khilaf ho to hm koi galat kaam nhi kar rhe hai agar hum kisi ki bhi viladat ki khushi mnay chahe vo rishtedaro me koi paida hua ho ya padose me sahariyat ke dayre merh kar to koi galat kaam nhi kar rhe hai

isi tarah agar huzur Mohammad sallalho alyhe wasallam ki paidaish (youme viladat) ki koi musalmaan khushiya manata hai to is me problem kya hai.

unki paidaish (youme viladat) ki khushi manana to har musalmaan ko chahiye kyunki unhi ke sadke me ye duniya kaqam hui aap hazrat Mohammad ne hi islam ko logo tk bohot si mushkilaato ka samna karke pohchaya or aap akhri nabi bhi hai .or aap hi roze mahshar me musalmano ki shafaat bakhshish (gunaho ko maaf) kawaynge.

is baat ka khiyaal rhe ki jo shariyat ne mna kiya hai jese fizul kharchi, DJ le jakar usme jhoomna , pure raste me kachra fekna, namaz na padhna, faltu ki baate karna, logo ko nikalne ki jagah na dena, khoob chillana, langar fek-fek kar dena, wagera ye sare kaam gunah hai jahannam me le jane wale kaam hai inse bachna chahiye

Eid miladun nabi me kya -kya karna chahiye

sabse achcha amal eid miladun nabi me ye hai ki us din ka roza rkhna chahiye hamare nabi mohammad sallallaho alyhe wasallam peer (monday) ke din ka roza rkha karte the kyunki is din aap ki viladat (paidaish) hui .lihaza sabse achcha amal yahin hai ki roza rkha jaay or ibadat ki jaay .

1-agar namaze chooti hai to unhe padha jaay nafli namazo ko padha jaay

2-apne aap ko paak karna chahiye gusl kro

3-gharo ki safai karo

4-saaf suthre paak kapdo ko pahno

5-huzur ke naam ki fatiha quraan khwani karao

6-logo ke ghar tabarrukaat banta chahiye

7-islam ke naam ka parcham lagao apne gharo me

8-logo ki sawab ki niyat se madad karo

9-bimaro tk madad pohchao jahe jis cheez ki kar sakte ho

10-sahibe haisiyat aam langer bhi kara sakta hai

11-agar juloos nikalo to bohot hi itiyaad se taki doosro ko pareshani na ho

12-juloos me darood shareef padhte rho, nigaho ko neeche rkho, behayai na kro

13-juloos me tabarrukaat aaram se do taki zameen par na gire 

14-mahfile sajao huzur ke naam se or logo ki islaah karo

yaad rhe koi esa kaam na kre ki jisse doosre logo ko pareshani ho DJ wagera na bajay, or us kaam se bache jo shariyat ke khilaf ho.

sabse bahtreen amal yahin hai ki roza rakhe or ibadat kare isse or logo ki madad kare isse achcha kaam kuch nhi.

namaz kayam kare kyunki hamare nabi Mohammad sallallaho alyhe wasallam ki aankho ki thandak hai. to wahin kaam kare jisse hamare nabi ko khushi ho or ALLAH TAALA hamse razi ho jaay.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ